All you need to trade like a pro. agar aap bilkul nye trader h aur aapko trading ke baare meinbahut deep knowledge nhi hai to aap km se km Chartink And Sensibull ka use krna start kr do . believe me aapki
Amibroker:
Amibroker software un logo ke liye best hai jo professional trading krte hain ya propriotry trading krke jyada kaam krnachahte h stock market mein . Ami broker se aap iorder place kr sakte hain trade execute krne ke saath sath apni script likhkar algo trading kr sakte hain. ji haan in sab suvidhao ko lene ke liye aapko monthly kuchh price pay krna ho ga . bina price pay kiye hue aap km features ke sath isko upyog mein nhi la sakte hain .
Tradingview:
trading view ek advanced charting platform hai . yadi aap chart padhkar trading krne ke shaukeen hai ya aapki expertise chart trading ya technical analysis h to yeh charting platform aapke bahut kaam ka hone wala hai. kyunki is charting software ki help se aap kisi bhi chart ki baarikiyon ko padhne ke liye aapki jaroorat ke sabhi tool isme maujood hai. sath hi isme Amibroker ki trarah apni trading script likhkar isko auto trade krne ka option bhi aapke pass h.
Chartink:
yeh screener software h iski help se aap apne trading criteria ke anusaar stocks ko filter krke unki list ko download kr sakte hain. for example. yadi aapko moving average 20 ko cross krne wale stocks ki list chahiye to aap Chartink pr jaakar screener ki help se moving average 20 daily/weekly/monthly sabhi tarah se stock filter kr sakte ho . aap isme more than one stock selection crietria bhi lga sakte ho. yadi aapko moving average 20 ke sath ADX ke base pr bhi stock select krna hai to aap dono indicaters ko select kr stock filter kr sakte h .
Sensibull:
sensibull ek aisa software h .jo option trader ke liye bahut hi helpful saabit ho sakta hai
. aapko jaankar hairaani hogi ki bnglore ke do doston ne sensibull software ka sahi istemaal krte hue
aapne doston aur relatives se ikkathe kiye hue 22000 rupyon ko 4 caror bna liya wo bhi kewal 2 saal ki mehnat se . Inka aaj apna Youtube channel hai 'Optionables' ke naam se . Sath hi ab yeh ek registered company hai